Thursday, March 31, 2011

SUBHA TAYBAA MEIN HUWEE BAT-TAA HE BAARA NOOR KAA


SUBHA TAYBAA MEIN HUWEE BAT-TAA HE BAARA NOOR KAA

Subha Taybaa mein huwee bat-taa he baara Noor ka 
Sadqa lene Noor ka aaya he taara Noor ka

 Baagh-e Taybaa mein Suhaana phool phoola Noor ka 
Mast boo hai bulbule parti he Kalma Noor ka

 Baarahween ke Chaand ka mujraa he Sajdah Noor ka
Baarah Burjon se Jhukaa ik ik Sitaara Noor ka

 Aayee Bid’at chaayi zulmat rang badlaa Noor ka
Maahe Sunnat mahr-e Tal’at le le badla Noor ka

 Tere hi Maathe rahaa ay jaan Sahraa Noor ka
Bakht jaaga Noor ka chamkaa Sitaara Noor ka

 Mein Gadaa Tu Baadshah bhar de piyaala Noor ka
Noor din duunaa teraa dedaal Sadqa Noor ka

 Taaj Waale dekh kar tera Imaama Noor ka
Sar jhuka te hain Ilaahi bol baalaa Noor ka

 Sham’a dil mishkaat tan Seenaa zujaajah Noor ka
Teri Soorat ke liye aayah hai Surah Noor ka!

 Too he Saayaa Noor ka har ‘uzw tukra Noor ka
Saaye ka Saaya na hota hai na Saaya Noor ka!

 Teri Nasl-e Paak mein he Bachcha Bachcha Noor ka
Too he ‘ayn-e-noor tera sab Gharaana Noor ka!

 Chaand jhuk jaata jidhar Unglee uthaate Mahd mein
Kyaa hi chaltaa thaa Ishaaron par Khilawnaa Noor ka

 Ay Raza ye Ahmed-e Noori ka Fayz-e Noor hai
Ho gayee meri Ghazal bar kar Qaseeda Noor ka!

No comments:

Post a Comment