Thursday, March 31, 2011

Rabbana Ya Rabbana



Chorus:
Rabbana Ya Rabbana, Rabana Ya Rabana,
Rabana Ya Rabana, Rabbana Ya Rabbana.
Chorus
Ya Elahi Har Jagha Teri Ataa ka Saath ho,
Jab Paray Mushkil Shahe-Mushkil Kushaa ka Saath ho.
Chorus
Ya Elahi Bhool Jaaon Naz’aa ki Takleef Ko,
Shaadi yay-Deedar-e- Husn-e-Mustafa Ka Saath ho.
Chorus
Ya Elahi Gor-e-Teera Ki Jab Aaaye Sakht Raat,
Unkay pyaaray Mon ki Subh-e-Jaan fiza ka Saath Ho.
Chorus
Ya Elahi Naama-e-Amaal Jab Khulne Lage,
Aib Posh-e-Khal Saattar-e-Khata ka Saath ho.
Chorus
Ya Elahi Garmiye Mehshar say Jab Bharke Badan,
Daman-e-Mehboob ki Thandi Hawa ka Saath Ho.
Chorus
Ya Elahi Jab Zubaan Bahar Aaye Pyaas say,
Sahib-e-Kothar Jood-o-Sakha ka Saath Ho.
Chorus
Ya Elahi Jab Hisab-e-Khanda-e-Be Jaa Rulaye,
Chashm-e-Giryan-e-Shafi-e-Murtaja ka Saath ho.
Chorus
Ya Elahi Jab par-e-Mehshar Main Shor-e-Daro Geer,
Aman Dene Wale Pyaare Paishwa ka Saath ho.
Chorus
Ya Elahi Sard Mori Par Ho Jab Khursheed-E-Hasr,
Sayyed-e-Be Saaya ke Zille Liwa ka Saath Ho.
Chorus
Ya Elahi Jab Chal-e-Tareek Rah-e-Pul Sarat,
Aftab-e-Hashmi Noor Ul Huda ka Saath Ho.
Chorus
Ya Elahi Jab Sar-e-Shamsheer Par Chalna Pare,
Rabbi Salllim Kehne Wale Gham Zada ka Saath ho.
Chorus
Ya ELahi Jo Duaein Naik Hum Tujhse Karain,
Qudsiyon ke Lab se Aaami Raabana ka Saath ho.
Chorus
Ya Ilaahi Jub Raza Khaab-e-Giraa Se Sar Uthaa’e,
Daulat-e-Bedaar Ishk-e-Mustafa Ka Saath Ho.
Rabbana Ya Rabbana Rabbana Ya Rabbana
Rabbana Ya Rabbana Rabbana Ya Rabbana

No comments:

Post a Comment