Hoon mein nadim gunaahon per Ya Rab (SWT),
Mujh pe rehmat ki ho nazar Ya Rab (SWT).
Mujh pe rehmat ki ho nazar Ya Rab (SWT).
Jitni ghariyan hon umer ki baaqi,
Aafiat say woh hon basar Ya Rab (SWT).
Aafiat say woh hon basar Ya Rab (SWT).
Khof aata hai kanp uthta hon,
Yaad ata hai jab safar Ya Rab (SWT).
Yaad ata hai jab safar Ya Rab (SWT).
Aah badkaarian barheen had say,
Ban chuka qalb bhi hajar Ya-Rub (SWT).
Ban chuka qalb bhi hajar Ya-Rub (SWT).
Tu gunahagar per raham/karam farma,
Behr-e-Siddiq (Radi Allah Anhu) ore Umar (Radi Allah Anhu) Ya Rub (SWT).
Behr-e-Siddiq (Radi Allah Anhu) ore Umar (Radi Allah Anhu) Ya Rub (SWT).
Bakhsh day mujh ko bay sabab mola,
Or jannat (heaven) mein dei day ghar Ya Rab (SWT).
Or jannat (heaven) mein dei day ghar Ya Rab (SWT).
Khatima Mustafa (SAW) kay qadmon per,
Mera imaan per tu kar Ya Rab (SWT).
Mera imaan per tu kar Ya Rab (SWT).
Rooh niklay gi jhoom kar meri,
Hogi Deed e Huzoor(SAW) gar Ya Rab (SWT).
Hogi Deed e Huzoor(SAW) gar Ya Rab (SWT).
Day Jawar e Nabi(SAW) mein ja mujh ko,
Na phira mujh ko dar badar Ya Rab (SWT).
Na phira mujh ko dar badar Ya Rab (SWT).
Hajj ka har saal day sharaf Mola (SWT),
Saath murshid kay ho safar Ya Rab (SWT).
Saath murshid kay ho safar Ya Rab (SWT).
Murshidi saath lay chalein Taiba,
Aarzoo aaye meri bar Ya Rab (SWT).
Aarzoo aaye meri bar Ya Rab (SWT).
Saaminay subz sabz gumbad ho,
Jab uthaaoon jidhar nazar Ya Rab (SWT).
Jab uthaaoon jidhar nazar Ya Rab (SWT).
Ishq e Sarkar(SAW) say ho dil roshan,
Na mile mujh ko maal o zar Ya Rab (SWT).
Bas Ishq e Sarkar(SAW) say ho dil roshan.
Na mile mujh ko maal o zar Ya Rab (SWT).
Bas Ishq e Sarkar(SAW) say ho dil roshan.
Ishq meethay madinay ka Mola(SWT),
Mujhe hasil hoo is qadar ho Ya Rab (SWT),
Kay jab kahin bhi ho zikr Taiba ka,
Aankh ho jaaye meri tar Ya Rab (SWT).
Mujhe hasil hoo is qadar ho Ya Rab (SWT),
Kay jab kahin bhi ho zikr Taiba ka,
Aankh ho jaaye meri tar Ya Rab (SWT).
Ho kay razi Ubaid se Malik (SWT),
Har khata kar tu dar guzar Ya Rab (SWT).
Har khata kar tu dar guzar Ya Rab (SWT).
Day Baqi mein Ubaid Maut Taiba mein baksh kar Ya Rab (SWT).
No comments:
Post a Comment