Thursday, March 31, 2011

Aa Gaye Muzdah Shafa’at Ka Sunaanay Waalay Lyrics



Aa gae muzda shafa’at ka sunanay wale,
Naar-e-dozakh se ghulamon ko bachanay wale.
Hai muqaddar main bulandi hi bulandi apne,
Hum tou hain kadmon main sar un k jhukanay wale.
Kar k ehsaan jitaana yeh nahi shaan unki,
Aur koi hon gai woh ehsaan jitaanay wale.
Mar k pohancha jo lehed main tou nakeeron ne kaha,
Marhaba na’at shah-e-deen ki sunanay wale.
Tu jala sakti nahi sun le jahanam hum ko,
Hum tou hain jashan-e-wilaadat kay mananay wale.
Kash sarkaar sar-e-hashar kahain mujh se Obaid,
Aa ja daaman main meri na’at sunanay walay.

No comments:

Post a Comment